ReviewCard Writer — code board me daalo

Bas 3 kadam. Na Arduino, na library, na settings.

  1. Cable se board laptop se jodo (USB-C cable).
  2. Neeche wale button ko dabao, phir aane wali list me board ka port chuno (naam me CP2102 ya USB likha hoga).
  3. Install dabao aur khatm hone ka intezaar karo. Ho jaye to board ek baar nikaal kar dobara lagao.

Agar button dikhe hi nahi, ya port wali list khaali ho: Chrome istemal karo (Firefox nahi chalega), aur cable data wali honi chahiye — sirf charge karne wali cable se port nahi dikhega.

Agar upload beech me "Connecting..." par atak jaye: board par chhota sa BOOT button daba kar rakho, dobara Install dabao, aur jab number chalne lagein to BOOT chhod do.

Code daalne ke baad: taar jodna aur pehla test — WIRING.md me hai. Box apna WiFi ReviewCard-Writer banayega; phone se jud kar http://192.168.4.1 kholo.